Friday, 27 December 2019

Nadi ya taalaab

Nadi ya taalaab


Ek parvat ek pahaad ek chattaan si ye zindagi
Hazaaron milo lambi si ye zindagi

Aur ye rasta
Nadiyon ki tarah
Ithlata kabhi mudta kabhi na thamta
Tumko tho badhe chale jaana hai
Rode patthar ped
Har padaav mein ek raaz
Uthaao kadam uttho giro chalo
So jaao jab thak jao
Magar chalna na chhodo
Jo ruka jo sochne baith gaya
Utthna mushkil ho jaayega
Sehem jayega aatuck jayega
Talaab ban jayegi ye zindagi
Usmein shaayad Kamal tho khilega
Magar sookhe patte, tooti tehniyaan aur
Aate jaate logon ki kahaaniyaan gadhengi
Har aati jaati hawa ka jhonka hila dega usski satah ko
Satah pe tair paayegi sirf ek kaagaz ki naanv
Man ko behlaaoge kissike zaroor, man mein utarke dubki na laga paaoge

Ek rasta Dhoondho aur beh chalo
Seh jaao
Sehme sehme ye taalab
Behne do inko
Aane do wo sailaab
Kabhi kanhi kisi samandar mein
Jab utthe aisi leher
Sab lehron se alag

Ek keher
Ek keher ban kar jiyo
Tumhaare chaahne waale
tumhe paane wale
Ko ho tallaash
Jab tum na milo
Jab tum ho udaas
Tairte rahein antim tak
Tumhaare saath
Aas paass
Pani mein jale aisi ek aag
Tumhaari raakh bhi bahe
Tumhari nadi mein aaj.

No comments:

Post a Comment